Bich Dilon Mein Utra To Hai
bich dilon mein utra to hai
dard tera albela to hai
rup tera ai raj-kumari
jaise meri rachna to hai
chand ko tum aawaz to de lo
ek musafir tanha to hai
srijan-haara srijan-haara
tujh bin baalak bilka to hai
sirr-e-alam kuchh kuchh hum ne
socha to hai jaana to hai
kitni subhen barham hongi
shoala imshab bhaDka to hai
kahne wale kahta ja tu
sunne wala sunta to hai
muzd kabhi barbaad na hogi
nazd-o-dur ye charcha to hai
marg ko yun be-nam na samjho
ek taKHayyul ujla to hai
subh-e-ishq akeli kab hai
sham-e-gham ka pahra to hai
maggham maggham pinhan pinhan
baat ka afsun gahra to hai
KHwab sahi gar naqsh-e-alam
insan aata jata to hai
khoj mein us ki barson phir ke
chand-nagar pahchana to hai
raste baste bagh mein yaro
marg ka har-dam khaTka to hai
tera 'azim' ai jaan-e-alam
'mir' ki lai mein gata to hai
(721) Peoples Rate This