Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b654bbdfbff514c011a3d3918766e66b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Aur Baat Hai Ki Madawa-e-gham Na Tha - Azeem Murtaza Poetry In English - Darsaal

Ye Aur Baat Hai Ki Madawa-e-gham Na Tha

ye aur baat hai ki madawa-e-gham na tha

lekin tera KHulus tawaqqo se kam na tha

kya kya faraghaten thin mayassar hayat ko

wo din bhi the ki tere siwa koi gham na tha

kuchh hum girift-e-gardish-e-dauran mein aa gae

kuchh dil bhi tere ishq mein sabit-qadam na tha

aae hain yaad tujh se bichhaD kar wo log bhi

jin se talluqat bigaDne ka gham na tha

wo daur-e-ishq mahz bhi kiya waqt tha 'azim'

jab dil pe naqsh mohr-o-nishan-e-sitam na tha

(1243) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aur Baat Hai Ki Madawa-e-gham Na Tha In English By Famous Poet Azeem Murtaza. Ye Aur Baat Hai Ki Madawa-e-gham Na Tha is written by Azeem Murtaza. Read famous Poem Ye Aur Baat Hai Ki Madawa-e-gham Na Tha for youth and Student by Azeem Murtaza. Free Download Ye Aur Baat Hai Ki Madawa-e-gham Na Tha in PDF.