Nim-shab Aatish-e-fariyaad-e-asiran Raushan
nim-shab aatish-e-fariyaad-e-asiran raushan
dhup si phail rahi hai sar-e-diwar-e-chaman
ya tere qurb ki ye saat-e-afsurda hai
ya kabhi tere tasawwur se sulagta tha badan
dil-jale roe hain shayad kahin phir aaKHir-e-shab
bhiga bhiga hai nasim-e-sahari ka daman
aaj tak yaad hai wo sham-e-judai ka saman
teri aawaz ki larzish tere lahje ki thakan
dil ke zaKHmon se mahak aati hai phulon ki 'azim'
sina-e-chaak hai ya raKHna-e-diwar-e-chaman
(744) Peoples Rate This