Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ae4dcd560d69760ac66892489cfa03ab, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh Bhi Ho Mera Haal Numayan To Nahin Hai - Azeem Murtaza Poetry In English - Darsaal

Kuchh Bhi Ho Mera Haal Numayan To Nahin Hai

kuchh bhi ho mera haal numayan to nahin hai

dil chaak sahi KHair gareban to nahin hai

husn-e-talab-e-barq hai tamir-e-nasheman

warna hawas-e-sair-e-gulistan to nahin hai

kuchh naqsh teri yaad ke baqi hain abhi tak

dil be-sar-o-saman sahi viran to nahin hai

hum dard ke mare hi garan-jaan hain wagarna

jina teri furqat mein kuchh aasan to nahin hai

TuTa to aziz aur hua ahl-e-wafa ko

dil bhi kahin us shoKH ka paiman to nahin hai

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Bhi Ho Mera Haal Numayan To Nahin Hai In English By Famous Poet Azeem Murtaza. Kuchh Bhi Ho Mera Haal Numayan To Nahin Hai is written by Azeem Murtaza. Read famous Poem Kuchh Bhi Ho Mera Haal Numayan To Nahin Hai for youth and Student by Azeem Murtaza. Free Download Kuchh Bhi Ho Mera Haal Numayan To Nahin Hai in PDF.