Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fd5f161dbfb67e9260d3962fdbe68be6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Se Hai Wo Raunaq-e-mahfil Aankhon Mein - Azeem Murtaza Poetry In English - Darsaal

Jab Se Hai Wo Raunaq-e-mahfil Aankhon Mein

jab se hai wo raunaq-e-mahfil aankhon mein

jaan labon par rahti hai dil aankhon mein

sukh rahi hai ju-e-girya-e-gard-nishan

chubhne lagi hai ab KHak-e-dil aankhon mein

hijr ki raaten arsa-e-be-KHwabi ka safar

kaT raha hun manzil manzil aankhon mein

KHun ki lahren moti moti palkon par

nikla dil-dariya ka sahil aankhon mein

dekh raha hun guzre waqt ki taswiren

utre hain yaadon ke mahmil aankhon mein

(1372) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Hai Wo Raunaq-e-mahfil Aankhon Mein In English By Famous Poet Azeem Murtaza. Jab Se Hai Wo Raunaq-e-mahfil Aankhon Mein is written by Azeem Murtaza. Read famous Poem Jab Se Hai Wo Raunaq-e-mahfil Aankhon Mein for youth and Student by Azeem Murtaza. Free Download Jab Se Hai Wo Raunaq-e-mahfil Aankhon Mein in PDF.