Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_982d5df74e1c71ddd63d1ff75d3f482f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gham Ka Ye Saliqa Bhi Rah Gaya Hai Ab Hum Tak - Azeem Murtaza Poetry In English - Darsaal

Gham Ka Ye Saliqa Bhi Rah Gaya Hai Ab Hum Tak

gham ka ye saliqa bhi rah gaya hai ab hum tak

zar zar rote hain aankh mein nahin nam tak

yaad jaane walon ki raushni KHayalon ki

dil ka sath deti hai ek manzil-e-gham tak

tujh se mil ke bhi tera intizar rahta hai

subh ru-e-KHandan se sham zulf-e-barham tak

ab nishan mile shayad manzil-e-tamanna ka

tere hijr ke gham se aa gae tere gham tak

ek dard-e-hasti ne umr bhar rifaqat ki

warna sath deta hai kaun aaKHiri dam tak

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Ka Ye Saliqa Bhi Rah Gaya Hai Ab Hum Tak In English By Famous Poet Azeem Murtaza. Gham Ka Ye Saliqa Bhi Rah Gaya Hai Ab Hum Tak is written by Azeem Murtaza. Read famous Poem Gham Ka Ye Saliqa Bhi Rah Gaya Hai Ab Hum Tak for youth and Student by Azeem Murtaza. Free Download Gham Ka Ye Saliqa Bhi Rah Gaya Hai Ab Hum Tak in PDF.