Shabab Aaya TaDapne Aur TaDpane Ka Waqt Aaya
shabab aaya taDapne aur taDpane ka waqt aaya
agar sach puchhiye be-maut mar jaane ka waqt aaya
abhi ji bhar ke pi lo phir na jaane kis pe kya guzre
qarib ab shaiKH-ji ke waz farmane ka waqt aaya
unhen pas-e-haya Thahra to apne panw larzan hain
hamari juraton ka un ke sharmane ka waqt aaya
ghaTa chhai barasne ko hain bunden abr-e-nisan se
nahin pite jo nadan un ko samjhane ka waqt aaya
na ho jae kahin phir aap se tum tum se tu 'azam'
hudud-e-aql se bahar nikal jaane ka waqt aaya
(676) Peoples Rate This