Rang Ke Gahre The Lekin Dur Se Achchhe Lage
rang ke gahre the lekin dur se achchhe lage
adh-khili un khiDkiyon par jamuni parde lage
KHushk hoti bel se diwar chhuTi dafatan
zard patton ko bachate phul KHud girne lage
pakke rishton mein daraDon ki kahani khul gai
Dubne wale ko sare hi ghaDe kachche lage
ek taKHayyul jism oDhe aan baiTha samne
lafz bhi ab soch ko taswir sa karne lage
bail ne bas sing badle aur duniya hil gai
chand lamhe shahr ka jughrafiya likhne lage
be-zarurat ghonsle par ek chiDiya muztarib
do parinde aaj pahli bar hain uDne lage
(2104) Peoples Rate This