Gung Hain Sari Zaminen Aasman Hairat-zada
gung hain sari zaminen aasman hairat-zada
raftagan shashdar sabhi aaindagan hairat-zada
chus leti hai zamin pani jahan hon nafraten
KHushk hoti nahr pe mat hon kisan hairat-zada
kaun ghar ka hai ye dhowan kis ki hai yaKH-bastagi
barf hoti is nadi ka sab dhuan hairat-zada
is tahayyur-KHez shahr-e-nur ki har shai ajab
har yaqin hairat-zada har-ik guman hairat-zada
daKHle par taKHtiyan hain jin pe kunda nam hain
kaun kaise kis tarah aur hai kahan hairat-zada
sang-e-marmar se bana jangal jahan-e-arzu
daftari lahja liye main ek jawan hairat-zada
kis tarah ka dars mujh ko de raha hai aaftab
sahn-e-maktab mein kahin hai kahkashan hairat-zada
zikr tha malfuf kun ka aasman ki baat thi
sun raha tha shahr sara dastan hairat-zada
(1699) Peoples Rate This