Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0252ec3be62021bec6a097b145b3fa13, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tere Qadmon Ki AahaT Ko Tarsa Hun - Azad Gulati Poetry In English - Darsaal

Tere Qadmon Ki AahaT Ko Tarsa Hun

tere qadmon ki aahaT ko tarsa hun

main bhi tera bhula hua ek rasta hun

bite lamhon ke jhonke jab aate hain

pal do pal ko main phir se khil uThta hun

mujh se muzhda nai ruton ka paoge

yaro main is peD ka antim patta hun

shayad tum bhi ab na mujhe pahchan sako

ab main KHud ko apne jaisa lagta hun

aaj ke kale sae kal tak phailenge

mere bachcho main is baat se Darta hun

tum bhi kaise DhunD sakoge ab mujh ko

main KHud apne-ap se ojhal rahta hun

sayon ki KHwahish ne mujhe jalaya hai

ab main in ke nam se tapne lagta hun

mujh se mil kar kis ko yaqin ab aaega

main bhi tera TuTa hua ek rishta hun

(1034) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Qadmon Ki AahaT Ko Tarsa Hun In English By Famous Poet Azad Gulati. Tere Qadmon Ki AahaT Ko Tarsa Hun is written by Azad Gulati. Read famous Poem Tere Qadmon Ki AahaT Ko Tarsa Hun for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Tere Qadmon Ki AahaT Ko Tarsa Hun in PDF.