Sarhad-e-jism Se Bahar Kahin Ghar Likkha Tha
sarhad-e-jism se bahar kahin ghar likkha tha
ruh par apni KHalaon ka safar likkha tha
hum bhaTakte rahe sadiyon jise paDhne ke liye
apne andar wo kahin harf-e-hunar likkha tha
aaj un aankhon mein dekha to mila dasht-e-KHala
hum ne jin aankhon mein ek KHwab-nagar likkha tha
apne ghar mein isi ehsas ne jine na diya
apne hathon pe kisi aur ka ghar likkha tha
zindagi ek sulagta hua sahra tha jahan
sab ki aankhon mein sarabon ka bhanwar likkha tha
kaun tha mujh mein ki jis ne mujhe paDhne na diya
mere chehre pe mera nam agar likkha tha
apni hi zat ke haale mein rahe hum 'azad'
an-ginat daeron ka yani safar likkha tha
(693) Peoples Rate This