Sahil Pe Ruk Ke Su-e-samundar Na Dekhiye
sahil pe ruk ke su-e-samundar na dekhiye
bahar se apne aap ka manzar na dekhiye
apne wajud hi pe na guzrin kai shokuk
sae ko apne qad ke barabar na dekhiye
jage to mahz ret hi paenge har taraf
gar ho sake to KHwab mein sagar na dekhiye
apne hi sar ke zaKHm ka kuchh kijiye ilaj
aaya hai kis taraf se ye patthar na dekhiye
yakja na karne aaega koi tamam umr
KHush-fahmiyon se KHud mein bikhar kar na dekhiye
phir yun na ho ki apna badan ajnabi lage
behtar hai is ke KHol se bahar na dekhiye
'azad' ji Daraega parchhaiyon ka KHauf
viran nazar se koi bhi manzar na dekhiye
(978) Peoples Rate This