Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_79c0451adbe86abf47b96467cab610ed, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Is Ke Baad Ka Koi Na Ho Guzar Mujh Mein - Azad Gulati Poetry In English - Darsaal

Phir Is Ke Baad Ka Koi Na Ho Guzar Mujh Mein

phir is ke baad ka koi na ho guzar mujh mein

kabhi to ek pal ai dost yun Thahar mujh mein

jo KHud mein jhankun to sannaTe sansanate hain

koi to kar gaya hai raat yun basar mujh mein

bhaTakta phirta hun sunsan rahguzaron par

basa hua hai kisi yaad ka nagar mujh mein

ajab nahin kai moti bhi tere hath lagen

zara le kaam tu himmat se aur utar mujh mein

main teri zat ka saya hun tere andar hun

meri talash sar-e-rah-guzar na kar mujh mein

(614) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Is Ke Baad Ka Koi Na Ho Guzar Mujh Mein In English By Famous Poet Azad Gulati. Phir Is Ke Baad Ka Koi Na Ho Guzar Mujh Mein is written by Azad Gulati. Read famous Poem Phir Is Ke Baad Ka Koi Na Ho Guzar Mujh Mein for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Phir Is Ke Baad Ka Koi Na Ho Guzar Mujh Mein in PDF.