Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_335352bd18134c641bb715898d80b241, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mera To Nam Ret Ke Sagar Pe Naqsh Hai - Azad Gulati Poetry In English - Darsaal

Mera To Nam Ret Ke Sagar Pe Naqsh Hai

mera to nam ret ke sagar pe naqsh hai

phir kis ka nam hai jo tere dar pe naqsh hai

phenka tha hum pe jo kabhi us ko uTha ke dekh

jo kuchh lahu mein tha usi patthar pe naqsh hai

shayad idhar se guzra hai ek bar tu kabhi

teri nazar ka lams jo manzar pe naqsh hai

tera KHayal mujh se go mil kar bichhaD gaya

us ki mahak ka aks mere ghar pe naqsh hai

mere KHaton ko rakh ke sirhane wo so gaya

jaga to mere jism ka bistar pe naqsh hai

ab is mein jo bhi Daliye amrit se kam nahin

jo in labon pe tha wahi saghar pe naqsh hai

jo zaKHm ek nazar se mila tha wo bhar gaya

dhundla sa dagh ruh ke paikar pe naqsh hai

KHanjar chala tha mujh pe magar moajaza hai ye

qatil ka apna KHun hi KHanjar pe naqsh hai

'azad' kaun tha jo tahon mein utar gaya

kis ki hayat hai jo samundar pe naqsh hai

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera To Nam Ret Ke Sagar Pe Naqsh Hai In English By Famous Poet Azad Gulati. Mera To Nam Ret Ke Sagar Pe Naqsh Hai is written by Azad Gulati. Read famous Poem Mera To Nam Ret Ke Sagar Pe Naqsh Hai for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Mera To Nam Ret Ke Sagar Pe Naqsh Hai in PDF.