Main BichhaD Kar Tujhse Teri Ruh Ke Paikar Mein Hun
main bichhaD kar tujh se teri ruh ke paikar mein hun
tu meri taswir hai main tere pas-manzar mein hun
apna markaz DhunDta hun daeron mein kho ke main
kitne janmon se main ek mahdud se chakkar mein hun
KHud hi dastak de raha hun apne dar par der se
ghar se bahar rah ke bhi jaise main apne ghar mein hun
main wo aazar hun jise barson rahi apni talash
KHud hi murat ban ke poshida har ek patthar mein hun
dekhne wale mujhe meri nazar se dekh le
main teri nazron mein hun aur main hi har manzar mein hun
gunjta hun apne andar aur kho jata hun main
ek sada ban kar ana ke gumbad-e-be-dar mein hun
main kabhi ek jhil tha phaile hue sahraon mein
aaj main ek pyas ka sahra hun aur sagar mein hun
maut ko 'azad' ye irfan dena hai mujhe
kaTti hai mujh ko jis se wo main us KHanjar mein hun
(810) Peoples Rate This