Kabhi Mili Jo Tere Dard Ki Nawa Mujhko
kabhi mili jo tere dard ki nawa mujh ko
KHamoshiyon ne mujhi se kiya juda mujh ko
badan ke sune khanDar mein kabhi jala mujh ko
main teri ruh ki zau hun na yun bujha mujh ko
main apni zat ki ham-saegi se Darta hun
mere qarib KHuda ke liye na la mujh ko
main chup hun apni shikast-e-sada ki wahshat par
mujhe na bolna paD jae mat bula mujh ko
ye main tha ya mere andar ka KHauf tha jis ne
tamam umr di tanhai ki saza mujh ko
bhaTak raha hun main be-samt raston ki tarah
kisi bhi samt ka ho rasta dikha mujh ko
har ek ne dekha mujhe apni apni nazron se
koi to meri nazar se bhi dekhta mujh ko
samo ke aankhon mein umDi ghaTaen ai 'azad'
wo ek dard ka sahra bana gaya mujh ko
(980) Peoples Rate This