Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ba4c31f1f6f68b1fc11a732894123261, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Gham Mein Jalte Rahe Umr-bhar Diya Ban Kar - Azad Gulati Poetry In English - Darsaal

Jo Gham Mein Jalte Rahe Umr-bhar Diya Ban Kar

jo gham mein jalte rahe umr-bhar diya ban kar

bujha gai hai unhen maut ab hawa ban kar

wo KHamushi jo teri bazm ne hamein baKHshi

KHala-e-zehn mein gunji hai ek sada ban kar

jo tu ne mujh ko gham-e-la-zawal baKHsha tha

wo zindagi mein raha mera rahnuma ban kar

wo jin ke lams se tu khil ke phul banta tha

wo ab bhaTakte hain dar par tere saba ban kar

jab un ki bazm se lauTe to KHud ko pahchana

wahan se aae hum 'azad' kya se kya ban kar

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Gham Mein Jalte Rahe Umr-bhar Diya Ban Kar In English By Famous Poet Azad Gulati. Jo Gham Mein Jalte Rahe Umr-bhar Diya Ban Kar is written by Azad Gulati. Read famous Poem Jo Gham Mein Jalte Rahe Umr-bhar Diya Ban Kar for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Jo Gham Mein Jalte Rahe Umr-bhar Diya Ban Kar in PDF.