Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_k2sl3qu3do3luugdsq1rf3ph05, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Go Mera Sath Meri Apni Nazar Ne Na Diya - Azad Gulati Poetry In English - Darsaal

Go Mera Sath Meri Apni Nazar Ne Na Diya

go mera sath meri apni nazar ne na diya

dasht-e-tanhai mein ai dil tujhe Darne na diya

zindagi kitna teri baat ka hai pas hamein

tu ne jo zaKHm diya hum ne wo bharne na diya

ek wo hain ki jinhen apni KHushi le Dubi

ek hum hain ki jinhen gham ne ubharne na diya

aap jis rah-guzar-e-dil se kabhi guzre the

us pe ta-umr kisi ko bhi guzarne na diya

hum to har haal sanwara kiye haalat 'azad'

hum ko haalat ne har-chand sanwarne na daya

(699) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Go Mera Sath Meri Apni Nazar Ne Na Diya In English By Famous Poet Azad Gulati. Go Mera Sath Meri Apni Nazar Ne Na Diya is written by Azad Gulati. Read famous Poem Go Mera Sath Meri Apni Nazar Ne Na Diya for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Go Mera Sath Meri Apni Nazar Ne Na Diya in PDF.