Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8114c83c76a0a35604d4eb3f0536f087, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dub Kar KHud Mein Kabhi Yun Be-karan Ho Jaunga - Azad Gulati Poetry In English - Darsaal

Dub Kar KHud Mein Kabhi Yun Be-karan Ho Jaunga

Dub kar KHud mein kabhi yun be-karan ho jaunga

ek din main bhi zamin par aasman ho jaunga

reza reza Dhalta jata hun main harf o saut mein

rafta rafta ek na ek din main bayan ho jaunga

tum bulaoge to aaegi sada-e-ba-gasht

wo bhi din aaega jab suna makan ho jaunga

tum haTa lo apne ehsanat ki parchhaiyan

mujh ko jina hai to apna saeban ho jaunga

ye sulagta jism Dhal jaega jab barfab mein

main badalte mausamon ki dastan ho jaunga

muntazir sadiyon se hun 'azad' us lamhe ka jab

roz-e-raushan ki tarah KHud par ayan ho jaunga

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dub Kar KHud Mein Kabhi Yun Be-karan Ho Jaunga In English By Famous Poet Azad Gulati. Dub Kar KHud Mein Kabhi Yun Be-karan Ho Jaunga is written by Azad Gulati. Read famous Poem Dub Kar KHud Mein Kabhi Yun Be-karan Ho Jaunga for youth and Student by Azad Gulati. Free Download Dub Kar KHud Mein Kabhi Yun Be-karan Ho Jaunga in PDF.