Bahut Lamba Safar Tapti Sulagti KHwahishon Ka Tha
bahut lamba safar tapti sulagti KHwahishon ka tha
magar saya hamare sar pe guzri saaton ka tha
saron pe hath apne ghar ki bosida chhaton ka tha
magar mahfuz sa manzar hamare aanganon ka tha
kisi bhi sidhe raste ka safar milta use kyun-kar
ki wo masdud KHud apne banae daeron ka tha
kabhi hanste hue aansu kabhi roti hui KHushiyan
karishma jo bhi tha sara hamari hi hison ka tha
KHud apni kawishon se hum ne apni qismaten likkhin
magar kuchh hath in mein bhi hamare dushmanon ka tha
nae rishte muqaddas KHwab se aawaz dete the
magar aaseb sa dil par guzishta rabton ka tha
kise milti najat 'azad' hasti ke masail se
ki har koi muqayyad aab-o-gil ke silsilon ka tha
(798) Peoples Rate This