Tilism-e-ism-e-mohabbat Hai Darpai-e-dar-e-dil
tilism-e-ism-e-mohabbat hai darpai-e-dar-e-dil
koi batae ab us ka kare to kya kare dil
fusun-e-jumbish-e-mizhgan na puchhiye sar-e-rah
pukarte hi rahe hum are are are dil
phir is ke baad hamein ye bhi to nahin raha yaad
nazar giri hai kahan kho gaya kahan zar-e-dil
qadam qadam pe tera gham hai KHema-zan meri jaan
humak bhare bhi to aaKHir bata kahan bhare dil
ye kunj-e-lab ye KHumar-e-visal apni jagah
magar jo hijr musalsal bapa hai barsar-e-dil
ye tu jo mohr-ba-lab hai to kis liye 'KHawar'
ye dekh kya hai tah-e-dil hai aur kya sar-e-dil
(1026) Peoples Rate This