Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3b2d139867106e587b9cadc4b57466ac, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sochon Mein Lahu Uchhaalte Hain - Ayub Khawar Poetry In English - Darsaal

Sochon Mein Lahu Uchhaalte Hain

sochon mein lahu uchhaalte hain

hum apni tahon mein jhankte hain

duniya ki hazar nematon mein

hum ek tujhi ko jaante hain

aankhon se dukhon ke rang aaKHir

saras ki uDan uD gae hain

sawan ki tarah hamein bhigo kar

baadal ki tarah guzar gae hain

yun bhi hai ki pyar ke nashe mein

kuchh soch ke log ro paDe hain

wo dukh to KHushi ke bab mein the

ye dukh jo tulu ho rahe hain

jo kuchh bhi hai dil ke aaine mein

sab teri nazar ke zawiye hain

bahte hue do badan samundar

honTon ke kinare aa mile hain

kuchh bhi to nahin hai pas 'KHawar'

bas ek ana hai rat-jage hain

(1230) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sochon Mein Lahu Uchhaalte Hain In English By Famous Poet Ayub Khawar. Sochon Mein Lahu Uchhaalte Hain is written by Ayub Khawar. Read famous Poem Sochon Mein Lahu Uchhaalte Hain for youth and Student by Ayub Khawar. Free Download Sochon Mein Lahu Uchhaalte Hain in PDF.