Safar Mein Faslon Ke Sath Baadban Kho Diya
safar mein faslon ke sath baadban kho diya
utar ke paniyon mein hum ne aasaman kho diya
yahi ki in nafas-ghubar saaton ke darmiyan
hawa ne git rah-guzar ne sarban kho diya
ye kaun sawanon mein KHwab dekhta hai dhup ke
ye kis ne e'tibar-e-gham pas-e-guman kho diya
bas ek harf ka gudaz us pe qarz tha so wo
bichhaDte waqt KHamushi ke darmiyan kho diya
firaq manzilon ka ek ghubar tha ki jis ghaDi
charagh-e-shab ne aur dil ne mehman kho diya
ruton mein ek rut yahan shajar bhi kaTne ki thi
pata chala jab apne ghar ka pasban kho diya
bacha liya tha KHwab jo masafaton ki dhup se
wo abr-o-baad manzaron ke darmiyan kho diya
wo nind apne bachpane ki rah mein ujaD gai
us aankh ne bhi mojazon ka ek jahan kho diya
(961) Peoples Rate This