Na Koi Din Na Koi Raat Intizar Ki Hai
na koi din na koi raat intizar ki hai
ki ye judai bharose ki e'tibar ki hai
jo KHak uDi hai mere dukh sameT lenge use
jo bichh gai sar-e-manzar wo rahguzar ki hai
wo wasl ho ki khule aaine pe aks-e-jamal
ye aarzu hai magar baat iKHtiyar ki hai
isi ka nam hai wahshat-sara-e-jaan mein charagh
usi ke lams mein dhaDkan dil-e-figar ki hai
ye kaun tha jo sar-e-baam KHud ko bhul gaya
ye kis ka raqs tha, gardish ye kis ghubar ki hai
ye kaun mujh mein hare mausamon utarta hai
ye kaise rang hain KHushbu ye kis dayar ki hai
bujhane wale ne 'KHawar' bujha diya hai charagh
yahi Thaharne ki saat yahi mazar ki hai
(871) Peoples Rate This