Koi Na Dekhe Gunj Hawa Ki
koi na dekhe gunj hawa ki
nigaran hai ek zat KHuda ki
kho gain chhoTi chhoTi uDanen
phailte shahron mein chiDiya ki
jitne sahra wo sab mere
sona hai miTTi duniya ki
pahle apni tah ko pa le
dekh rawani phir dariya ki
main ne un aankhon ki KHatir
phulon jaisi ek dua ki
un pathrili aankhon mein hai
ek chup chup taswir wafa ki
zat-safar ke lakhon raste
aabla-pai mujh tanha ki
darwaze ki oT se jhanke
yaad tumhaari shakl saba ki
gham andar ka nam hai 'KHawar'
bahar aanch hai tez hawa ki
(811) Peoples Rate This