Is Qadar Gham Hai Ki Izhaar Nahin Kar Sakte
is qadar gham hai ki izhaar nahin kar sakte
ye wo dariya hai jise par nahin kar sakte
aap chahen to karen dard ko dil se mashrut
hum to is tarah ka bewpar nahin kar sakte
jaan jati hai to jae magar ai dushman-e-jaan
hum kabhi tujh pe koi war nahin kar sakte
jitni ruswai mili aap ki nisbat se mili
aap is baat se inkar nahin kar sakte
aap kar sakte hain KHushbu ko saba se mahrum
aur kuchh sahab-e-kirdar nahin kar sakte
ek zanjir si palkon se bandhi rahti hai
phir bhi ek dasht ko gulzar nahin kar sakte
ye gul-e-dard hai is ko to mahakna hai huzur
aap KHushbu ko giraftar nahin kar sakte
(1132) Peoples Rate This