Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0cd59b57c73c400609553dfb2842b9dc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghar Darwaze Se Duri Par Sat Samundar Bich - Ayub Khawar Poetry In English - Darsaal

Ghar Darwaze Se Duri Par Sat Samundar Bich

ghar darwaze se duri par sat samundar bich

ek anjaane dushman ki hai ghat samundar bich

phir ye haarne wali aankhen jagin is dhoke mein

koi KHwab bhanwar mein aaya raat samundar bich

ab kya unche baadban par KHwab sitara chamke

aankhen rah gain sahil par aur hat samundar bich

is mausam mein kaun kahan tak diya jalae rakkhe

hawa chale to Dal se TuTe pat samundar bich

lahr se lahr mile to dekho qatre ki tanhai

dil aisi ek bund ki kya auqat samundar bich

ek kahani soch rahi hai mujh ko kaun kahe

ek jazira Dub raha hai zat samundar bich

ek safar patwar ka apna ek safar pani ka

aur musafir tanha kha gaya mat samundar bich

(894) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Darwaze Se Duri Par Sat Samundar Bich In English By Famous Poet Ayub Khawar. Ghar Darwaze Se Duri Par Sat Samundar Bich is written by Ayub Khawar. Read famous Poem Ghar Darwaze Se Duri Par Sat Samundar Bich for youth and Student by Ayub Khawar. Free Download Ghar Darwaze Se Duri Par Sat Samundar Bich in PDF.