Charagh-e-qurb Ki Lau Se Pighal Gaya Wo Bhi
charagh-e-qurb ki lau se pighal gaya wo bhi
azab-e-hijr se main kya, nikal gaya wo bhi
rida-e-abr-e-jamal-e-hijab kya sarki
ki ang ang sitaron mein Dhal gaya wo bhi
dayar-e-KHwab mein ek shaKHs ham-qadam tha magar
paDa jo waqt to rasta badal gaya wo bhi
ye us ki yaad ka eajaz tha ki ab ke baras
jo waqt hum pe kaDa tha so Tal gaya wo bhi
ajab tilism-e-numu tha wafa ki miTTi mein
hawa-e-hijr chali, phul phal gaya wo bhi
(906) Peoples Rate This