Bujhne Lage Nazar To Phir Us Par Dekhna
bujhne lage nazar to phir us par dekhna
dariya chaDhe to naw ki raftar dekhna
is aagahi ke aaina-e-KHud-misal mein
KHud apni zat ko sar-e-paikar dekhna
aaankhon se rat-jagon ki hararat nahin gai
ai yaad-e-yar tishna-e-azar dekhna
honTon pe aa ke jam si gai KHwahish-e-visal
is an-kahi pe lazzat-e-inkar dekhna
hum wo wafa-parast tujhe dekhne ke baad
apni taraf bhi surat-e-diwar dekhna
shaKH o samar to munsif o qatil ke ho gae
ab kis ke sar pe girti hai talwar dekhna
yun hai ki jab bichhaDne lagen dil se dhaDkanen
tab us gali mein subh ke aasar dekhna
ab ye dil o nigah ke bas mein nahin raha
har aaine mein aks-e-ruKH-e-yar dekhna
sahil ko mauj le gai aur us ko baadban
KHawar ab is ke baad na us par dekhna
(1088) Peoples Rate This