Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6a9aa626f2491c81502beb271b0431c2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab To Aae Nazar Mein Jo Bhi Ho - Ayub Khawar Poetry In English - Darsaal

Ab To Aae Nazar Mein Jo Bhi Ho

ab to aae nazar mein jo bhi ho

nind ke baam-o-dar mein jo bhi ho

jism-o-jaan ka makan hua KHali

aise tanha safar mein jo bhi ho

gunjte hain faza mein sannaTe

TuTne ke asar mein jo bhi ho

gum to hoga sitara-e-shab-e-dil

kam hai is raat bhar mein jo bhi ho

dhup ho abr ho ki saya-e-gul

ab to is rahguzar mein jo bhi ho

'KHawar' us sabz KHema-e-gul tak

is kaDi dopahar mein jo bhi ho

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab To Aae Nazar Mein Jo Bhi Ho In English By Famous Poet Ayub Khawar. Ab To Aae Nazar Mein Jo Bhi Ho is written by Ayub Khawar. Read famous Poem Ab To Aae Nazar Mein Jo Bhi Ho for youth and Student by Ayub Khawar. Free Download Ab To Aae Nazar Mein Jo Bhi Ho in PDF.