Aankh Ki Dahliz Se Utra To Sahra Ho Gaya
aankh ki dahliz se utra to sahra ho gaya
qatra-e-KHun paniyon ke sath ruswa ho gaya
KHak ki chadar mein jism o jaan simaTte hi nahin
aur zamin ka rang bhi ab dhup jaisa ho gaya
ek ek kar ke mere sab lafz miTTi ho gae
aur is miTTi mein dhans kar main zamin ka ho gaya
tujh se kya bichhDe ki aankhen reza reza ho gain
aaina TuTa to ek aaina-KHana ho gaya
ai hawa-e-wasl chal phir se gul-e-hijran khila
sar uTha phir ai nihaal-e-gham sawera ho gaya
ai jamal-e-fan use mat ro ki tan-asan tha
teri duniyaon ka 'KHawar' sarf-e-duniya ho gaya
(819) Peoples Rate This