Ye Baaton Hi Baaton Mein Baaten Badalna
ye baaton hi baaton mein baaten badalna
koi tum se sikhe ye aankhen badalna
hum aaseb ke Dar se ghar kyun badal len
parindon pe jachta hai shaKHen badalna
kuchh apna bhi kah lo yun kab tak chalega
radifen uchakna zaminen badalna
wahi gham se aari hain kar-e-jahan mein
jinhen KHub aata hai rahen badalna
ye jina bhi shatranj hi ne sikhaya
ki chaalon ke lagne pe chaalen badalna
riwayat rahi hai yahi fi zamana
nazariye badalna kitaben badalna
ye tujh se hi sikha hai jaan-e-tamanna
zara si udasi mein banhen badalna
(1958) Peoples Rate This