Us Nigah-e-naz Ne Yun Raat-bhar Tajsim Ki
us nigah-e-naz ne yun raat-bhar tajsim ki
sab charaghon mein barabar raushni taqsim ki
raat pichhe paD gai thi KHauf ke sae liye
KHwab se aage nikal kar waqt mein tarmim ki
aaina ho jaega ye dasht mujh par ek din
girhen khulti ja rahi hain ahsan-e-taqwim ki
donon hi aa kar alif ki raushni mein zam huin
ek tajalli lam ki aur ek tajalli mim ki
shahd ka bhi zikr ho sakta tha hone ko magar
us ke lahje ke mutabiq baat chheDi nim ki
main hi tha apne muqabil KHwahishon ki Dor mein
haarna mushkil laga so jit hi taslim ki
dost lekin tujh ko ye izzat na ras aai kabhi
main ne apne aap se baDh kar teri takrim ki
sham hote hi charaghon ko sajaya taq mein
sara din so kar guzara raat ki tazim ki
umr-bhar suraj ke aage hath phailae magar
ek sitare ne mujhe ye raushni talim ki
khinch kar aflak pe ek surmai raushan lakir
chand ne surat badal Dali hamari theem ki
main ne 'zeb' us ko mohabbat mein kaha tha mujh se mil
us ne meri baat ki kitni ghalat tafhim ki
(1377) Peoples Rate This