Puchhte Hain Tujhko Saffaki Kahan Rah Kar Mili
puchhte hain tujh ko saffaki kahan rah kar mili
ye karamat bheDiyon ke darmiyan rah kar mili
hadson ki zad mein rahte hain zamin-o-asman
kaun si achchhi KHabar mujh ko yahan rah kar mili
har-nafas mujh ko aziyyat ka safar karna paDa
zindagi mujh se hamesha bad-guman rah kar mili
ek tilawat ne meri sanson ko baKHsha hai dawam
zindagi mujh ko sar-e-nok-e-sinan rah kar mili
yani tere sab sitam mujh par karam sabit hue
yani teri har bala hi mehrban rah kar mili
zahr ek miqdar mein us ne diya hai is liye
taqwiyat mujh ko hamesha nim-jaan rah kar mili
main usi ka markazi kirdar hun kya ilm tha
wo kahani jo darun-e-dastan rah kar mili
jo bhi kahte ho utar jata hai mere dil mein 'zeb'
aisi laffazi batao to kahan rah kar mali
(1253) Peoples Rate This