Nihatte Aadmi Pe BaDh Ke KHanjar Tan Leti Hai
nihatte aadmi pe baDh ke KHanjar tan leti hai
mohabbat mein na paD jaana mohabbat jaan leti hai
use KHamosh dekhun to sunai kuchh nahin deta
dikhai kuchh nahin deta nazar jab kan leti hai
udasi aashna hai is qadar aahaT se meri ab
jahan se bhi guzarta hun mujhe pahchan leti hai
KHushi to de hi deti hai teri duniya mujhe la kar
magar badle mein wo us ke mera iman leti hai
bas ek lamha lagati hai KHushi aa kar guzarne mein
udasi aae to sadiyon ki miTTi chhan leti hai
barabar banT deti hai wo sansen KHak-zadon mein
na-jaane zindagi kis ki dukan se bhan leti hai
isi ke sath chalti hai ye manzil par pahunchne tak
ye rah-e-gham jise apna musafir jaan leti hai
wo har machhli jo machhli ghar ki paidawar ho sahab
wo machhli ghar ko hi apna samundar man leti hai
hum us ke hath pe rakh den zamin-o-asman la kar
magar wo hum faqiron ka kahan ehsan leti hai
sar-e-maqtal bikhar jate hain is mein Dubne wale
mohabbat har qadam par KHun ka tawan leti hai
agar bujhne se bachna hai to lau se lau jalao 'zeb'
hawa jalte charaghon se yahi paiman leti hai
(1502) Peoples Rate This