KHush Bahut Aate Hain Mujhko Raste Dushwar Se
KHush bahut aate hain mujh ko raste dushwar se
sar-phira hun main nahin Darta kisi diwar se
manzilon ko pal mein pichhe chhoDta jata hun main
raste bhi KHauf khate hain meri raftar se
KHamushi se suraten miT jaengi manzar se kya
kuchh nahin kahna kisi ko aaina-bardar se
KHushk aankhon se main takta hun kinare ki taraf
mujh ko sairabi bulati hai samundar par se
kya mera ghar bhi nahin haq mein ki main tanha rahun
itni wahshat ho rahi hai kyun dar-o-diwar se
aasmanon par paDaw Dalna to hai mujhe
guftugu hoti rahegi sabit-o-sayyar se
tum bhi ab kuchh aur socho is mohabbat ke siwa
main bhi ab ukta gaya hun ek hi aazar se
main sharifon se sharafat mein bhi aage hi raha
main ne chaalaki bhi sikhi pae ke ayyar se
raat-bhar is shahr mein wo sanehe hote hain 'zeb'
dil dahal uThta hai mera subh ke aKHbar se
(1327) Peoples Rate This