Kaisa Manzar Guzarne Wala Tha
kaisa manzar guzarne wala tha
aankh se Dar guzarne wala tha
wo ajab rahguzar thi jis ka
mustahiq har guzarne wala tha
waqt se main guzar raha tha magar
waqt mujh par guzarne wala tha
ek hi dil mila tha aur dil bhi
kuchh na kuchh kar guzarne wala tha
us ne bheje the ashk manzar mein
KHushk se tar guzarne wala tha
mere raste ko kar diya hamwar
mujh se behtar guzarne wala tha
jaan hatheli pe rakh ke maqtal se
ek KHud-sar guzarne wala tha
main ne zanjir rail mein khinchi
jab mera ghar guzarne wala tha
shukr hai kaam aa gai hikmat
KHair se shar guzarne wala tha
main wahi kar nahin saka sad-haif
kaam jo kar guzarne wala tha
mere dil ki hawa se 'zeb' us din
mor ka par guzarne wala tha
(1237) Peoples Rate This