Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ca312515dabd00029d285548a8fee071, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aam Raste Se HaT Ke Aaya Hun - Aurangzeb Poetry In English - Darsaal

Aam Raste Se HaT Ke Aaya Hun

aam raste se haT ke aaya hun

sari duniya se kaT ke aaya hun

meri wusat tujhe Dara deti

apne andar simaT ke aaya hun

koi taza sitam ki main pichhle

hadson se nimaT ke aaya hun

han mohabbat to mar deti hai

ye kahani main raT ke aaya hun

meri haalat se map raste ko

main kahan se palaT ke aaya hun

rah-e-gham ab Dara nahin sakti

gham se hi to lipaT ke aaya hun

us ki shaKHon pe phal nahin lagta

jis shajar se main kaT ke aaya hun

koi surat nahin hai juDne ki

itne TukDon mein baT ke aaya hun

(1270) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aam Raste Se HaT Ke Aaya Hun In English By Famous Poet Aurangzeb. Aam Raste Se HaT Ke Aaya Hun is written by Aurangzeb. Read famous Poem Aam Raste Se HaT Ke Aaya Hun for youth and Student by Aurangzeb. Free Download Aam Raste Se HaT Ke Aaya Hun in PDF.