Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4de6b9ef4772b040d38dd884edda5af8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
AaKHir BigaD Gae Mere Sab Kaam Hone Tak - Aurangzeb Poetry In English - Darsaal

AaKHir BigaD Gae Mere Sab Kaam Hone Tak

aaKHir bigaD gae mere sab kaam hone tak

ek umr lag gai mujhe nakaam hone tak

dilkash dikhai dete hain jo log subh-dam

un par nazar na Daloge tum sham hone tak

jis ishq ko chhupane mein ek umr lag gai

ek pal laga hai us ko sar-e-am hone tak

qimat meri zara si mohabbat thi dosto

par muddaten lagin mujhe nilam hone tak

duniya ne 'zeb' mujh ko kahin ka nahin rakha

lekin main chup hun zat mein kohram hone tak

(1325) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHir BigaD Gae Mere Sab Kaam Hone Tak In English By Famous Poet Aurangzeb. AaKHir BigaD Gae Mere Sab Kaam Hone Tak is written by Aurangzeb. Read famous Poem AaKHir BigaD Gae Mere Sab Kaam Hone Tak for youth and Student by Aurangzeb. Free Download AaKHir BigaD Gae Mere Sab Kaam Hone Tak in PDF.