Aaine Se Guzarne Wala Tha
aaine se guzarne wala tha
aks-e-hasti bikharne wala tha
lafz tartib de raha tha main
sher mujh par utarne wala tha
dost taswir to parai thi
main to bas rang bharne wala tha
hum bhi kya us ke sath mar jate
marne wala to marne wala tha
phir achanak badal gaya manzar
main jise naqsh karne wala tha
phir mujhe samne se haTna paDa
aaina mujh se Darne wala tha
wo to naKHun ne mehrbani ki
warna ye zaKHm bharne wala tha
phul tha shaKH ki hatheli par
aur hawa mein bikharne wala tha
ab ki suraj tha ishtiha meri
main wahan panw dharne wala tha
tum ne dekha tha kitna sharminda
mujh pe tanqid karne wala tha
tishnagi thi uruj par apni
aur dariya utarne wala tha
hadisa ain us jagah pe hua
main jahan se guzarne wala tha
'zeb' aankhen na band karta agar
KHauf andar utarne wala tha
(1278) Peoples Rate This