Aaina Hai KHayal Ki Hairat
aaina hai KHayal ki hairat
us pe tere jamal ki hairat
koi chehra nahin tamanna ka
kuchh nahin KHadd-o-KHal ki hairat
kaun sa sharq kis tarah ka gharb
kya junub-o-shumal ki hairat
aisa karta hun bandh deta hun
zaKHm par indimal ki hairat
dekhne wala bhi pareshan hai
TuTe shishe mein baal ki hairat
dil pe chalta hai dard ka jadu
aankh mein hai malal ki hairat
de gaya hai jawab aa kar wo
rah gai hai sawal ki hairat
sab ko hairat mein Dal deti hai
chaal par khai chaal ki hairat
khinch leti hai ek din KHud hi
jal-pari ko bhi jal ki hairat
tohfa milta hai jab janam-din pe
KHatm hoti hai sal ki hairat
tabsire the uruj par mere
main ne dekhi zawal ki hairat
sab ayan ho gaya zamane par
KHatm-shud mah-o-sal ki hairat
apna mazi bata raha hai 'zeb'
lauT aaegi haal ki hairat
(2370) Peoples Rate This