Aa Kar Uruj Kaise Gira Hai Zawal Par
aa kar uruj kaise gira hai zawal par
hairan ho raha hun sitaron ki chaal par
ek ashk bhi Dhalak ke dikhae ab aankh se
main sabr kar chuka hun tumhaare KHayal par
aa aa ke us mein machhliyan hoti rahin farar
hansti hai jal-pari bhi machheron ke jal par
mayus ho ke dekhna kya aasman ko
uDne ka shauq hai to meri jaan nikal par
main tang aa chuka hun ki samjhaun kis tarah
ek rose chhoD dunga tujhe tere haal par
kuchh yaad hai ki main ne banae the tere naqsh
phir itna naz kyun hai tujhe KHadd-o-KHal par
misl-e-gulab aap jo mahke hain bagh mein
bosa wasul kijiye titli ka gal par
tafriq kis tarah se karoge yahan pe 'zeb'
insan likha hua hai darindon ki khaal par
(4457) Peoples Rate This