Naw Tufan Mein Jab Zer-o-zabar Hoti Hai
naw tufan mein jab zer-o-zabar hoti hai
naKHuda par kabhi maujon pe nazar hoti hai
dur hai manzil-e-maqsud safar hai darpesh
sone walon ko jaga do ki sahar hoti hai
aur baDh jati hai kuchh quwwat-e-ehsas-e-amal
jitni dushwar meri rah-guzar hoti hai
ghar ke chhuTne ka asar aalam-e-ghurbat ka KHayal
kaifiyat dil ki ajab waqt-e-safar hoti hai
kya guzarti hai gulon par koi un se puchhe
nam gulshan ka hai kanTon pe basar hoti hai
azm kahta hai mera main bhi to dekhun aaKHir
kaun si hai wo muhim jo nahin sar hoti hai
kaun kahta hai gharib-ul-watani mein 'saqi'
sath le-de ke faqat gard-e-safar hoti hai
(758) Peoples Rate This