Na Puchho Kaise Shab-e-intizar Guzri Hai
na puchho kaise shab-e-intizar guzri hai
bhala ho dil ka bahut be-qarar guzri hai
hazar maslihaten jis mein kar-farma hon
wo ek nigah-e-karam hum pe bar guzri hai
hai istilah-e-mohabbat mein jis ka nam junun
wo ek rasm baDi paedar guzri hai
zarur us ne tere pairahan ko chuma tha
jo is taraf se saba mushk-bar guzri hai
wo baghban bhi koi baghban hai jis ki hayat
rahin-e-minnat-e-fasl-e-bahaar guzri he
luTa hai kaun gharib-ud-dayar raste mein
ye kis ke gham mein saba sogwar guzri hai
nisar us pe hun main jis ki zindagi 'saqi'
bashar ke auj ki aaina-dar guzri hai
(1054) Peoples Rate This