Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_50f7e99483e5920637d9623b717efb70, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Na Jis Ka Koi Sahaara Ho Wo Kidhar Jae - Aulad Ali Rizvi Poetry In English - Darsaal

Na Jis Ka Koi Sahaara Ho Wo Kidhar Jae

na jis ka koi sahaara ho wo kidhar jae

na aae maut to be-maut kaise mar jae

main is KHayal se un se gila nahin karta

kahin na phul se chehre ka rang utar jae

tu hi bata de mujhe be-kasi-e-manzil-e-shauq

jo rah se bhi na waqif ho wo kidhar jae

hazaron taur nahin chashm-e-marifat ke liye

jahan jahan teri moajiz-numa nazar jae

tajalliyat se mamur hai har ek zarra

bila-sabab na koi koh-e-tur par jae

na pi tu apne ye aansu mazaq mein 'saqi'

kahin na zahr mohabbat mein kaam kar jae

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Jis Ka Koi Sahaara Ho Wo Kidhar Jae In English By Famous Poet Aulad Ali Rizvi. Na Jis Ka Koi Sahaara Ho Wo Kidhar Jae is written by Aulad Ali Rizvi. Read famous Poem Na Jis Ka Koi Sahaara Ho Wo Kidhar Jae for youth and Student by Aulad Ali Rizvi. Free Download Na Jis Ka Koi Sahaara Ho Wo Kidhar Jae in PDF.