Chaar-su Aalam-e-imkan Mein Andhera Dekha

chaar-su aalam-e-imkan mein andhera dekha

tu jidhar hai usi jaanib ko ujala dekha

us pe qurban ki jis ne teri aawaz suni

sadqe us aankh ke jis ne tera jalwa dekha

KHalwat-e-quds ki be-parda tajalli ko na puchh

shauq-e-nazzara mein sirf aankh ka parda dekha

aankh jab band hui khul gaya raaz-e-qudrat

shan-e-mabud andhere mein ujala dekha

parda uTh jaega jab ru-e-tajalli se kalim

aap KHud munh se kahenge ki abhi kya dekha

ru-e-gul rang-e-KHizan josh-e-junun fasl-e-bahaar

chaar din ke liye is bagh mein kya kya dekha

'auj' kaj-baKHti-e-arbab-e-suKHan se kya bahs

daman-e-gul kabhi kanTon mein na uljha dekha

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaar-su Aalam-e-imkan Mein Andhera Dekha In English By Famous Poet Auj Lakhnavi. Chaar-su Aalam-e-imkan Mein Andhera Dekha is written by Auj Lakhnavi. Read famous Poem Chaar-su Aalam-e-imkan Mein Andhera Dekha for youth and Student by Auj Lakhnavi. Free Download Chaar-su Aalam-e-imkan Mein Andhera Dekha in PDF.