Nigah Koi To Tufan Mein Mehrban Si Hai
nigah koi to tufan mein mehrban si hai
har ek mauj samundar ki paedan si hai
har ek shaKHs ko gahak samajh ke KHush rakhna
ye zindagi bhi hamari koi dukan si hai
main aasman ki tarah muddaton se Thahra hun
badan mein phir bhi zamin jaisi kuchh thakan si hai
dukhon ka kya hai ye aate hain tir ki manind
KHushi hamesha mere waste kaman si hai
qadam sambhaal ke rakhna hasin rahon par
phisal gae to phir aage baDi Dhalan si hai
zaban munh mein hamare thi jab ghulam the hum
hamare munh mein magar ab to bas zaban si hai
ab aae din hi nikalta hai aansuon ka julus
hamari aankh musalsal lahuluhan si hai
(995) Peoples Rate This