Ek Thakan Quwwat-e-izhaar Mein Aa Jati Hai
ek thakan quwwat-e-izhaar mein aa jati hai
waqt ke sath kami pyar mein aa jati hai
bas kahin chhor samundar ka nazar aa jae
koi taqat meri patwar mein aa jati hai
wo guzarta hai to khulte hain dariche ghar ke
ek chamak si dar-o-diwar mein aa jati hai
TuTe ghunghru ki jo aawaz hua karti hai
wo khanak kyun meri guftar mein aa jati hai
jab bhi aata hai mera nam tere honTon par
KHushbu-e-gul mere ashaar mein aa jati hai
har ghaDi apni tamannaon se laDte laDte
ek chamak chehra-e-KHuddar mein aa jati hai
jab ghazal 'mir' ki paDhta hai paDosi mera
ek nami si meri diwar mein aa jati hai
(2119) Peoples Rate This