Kitna Mushkil Hai
main sun raha hun
main sun raha hun
tumhaari aankhon ka shor
tumhaare masamon se bund bund Tapakti hui aawazen
tumhaari chhatiyon ki nili nili lakiron ke darmiyan
kunmunate hue bachchon ki sargoshiyan
palak jhapakte hi
shahr ka shahr hijrat kar gaya
paDaw Dal diye gae wahan
jahan koi mausam nahin hota
daraKHt parindon se KHali
bachchon ko nind nahin aati
kuchh runuma nahin hota
chizon ne apne mamul badal diye hain
rasul aate hain aur be-bayan chale jate hain
KHuda ki bastiyan kabhi itni viran nahin hui thin
ab tum aaoge
to dekhoge
waqt,
jahan tahan se phaT gaya hai
use apni rah par lana
kitna aasan hai kitna mushkil
un saaton par kamanden Dalna
jinhon ne mauqa pa kar apni raftar pakaD li
dekhte hi dekhte
dusri aabaadiyon ki taraf nikal gain
bujhi hui rakh ke Dher mein
tasalliyan munh bisore hue paDi hain
amaltas ki sukhi shaKHon par
Tange hue hain sabr ke chithDe
purzon mein badal chuke hain
aarzuon ke be-payan tasalsul
Dha chuke hain
andar hi andar shir-KHar ummidon ke Tile
jinhen dekh kar
tumhein yaad aaega
rishton ke bharam kitne saffak hote hain
kitne pur-zor hote hain waste
jo TuTte hain
to un mein se ek chiKH bhi baramad nahin hoti
sara jahan hi TuT, bikhar jata hai
gardish karte hue KHun mein
barf ki kilen gaD jati hain
jaise sara jism hi aa gaya ho
kisi sarkash aandhi ki zad mein
aur ek ek kar ke
haDDiyon ke sare joD hi khulte ja rahe hon
bikharte ja rahe hon sare masam
girte ja rahe hon
hum un chauhaDon par
jahan sirf KHwabon ke bij boe jate hain
aur fasl ke nam par
hafize ke azab numu pate hain
jaise hum ek azim hijr ki paidawar hain
umren dukhon ke hisab se tawil
dukh dushman ki bedar nigahon se ziyaada zinda
apne kandhon par
apni sanson ke KHamiyaze hain
aur main
apni hi nindon mein dauDte dauDte thak gaya hun
(970) Peoples Rate This