Wo Jo Sarf-e-nigah Karta Hai
wo jo sarf-e-nigah karta hai
is tamashe ka ek hissa hai
ek andhera hun sar se panw tak
phir ye pahlu mein kiya chamakta hai
ek din un ko zinda dekha tha
jan buzurgon ka ye asasa hai
shahr-e-matam ki is bala se na Dar
aaina bhi tilism rakhta hai
kis ke pairon ke naqsh hain mujh mein
mere andar ye kaun chalta hai
naqsh hai kaun aasmanon mein
in zaminon mein kis ka chehra hai
main ne banjar dinon mein kholi hai aankh
main ne peDon ko marte dekha hai
(718) Peoples Rate This